Tuesday, 25 June 2013

Types of Magic – Jadu ki Aqsaam – Jaadu k asraat

Assalam o Alaykum,
Jadu say insan her wo kaam ker sakta hai ju shaitaan per dalaalut kerta hai.
1) Judai ka jado: jou mian bivi, behan bahiyoun garz aapis may judai daalny k leye kia jata hai.
2) Bugz o Adawat ka jadu: jis say aapis may larai jhagra shuru hou jata hai
3) Bemari ka jadu jis say kisi b khas bemari ya kae bimarioun may mubtala kia jata hai
4) Halakut ya jaan say marny ka jadu: yeh jadu ka intahae khaternaak waar hota hai jis say kisi ki b jaan li ja sakti hai. Is jadu may jadugar aik “Haandi” tayar kerta hai jis may tavezaat likh ker Jinnat o shayateen ko pabund kia jata hai aur jis ko halak kerna hota hai us k sir k baal ya us k istaymaal ki koe cheez rakhi jati hai aur phir us ka putla bana ker us may common pins (suiyan) chu’bhu (gaar) di jati hai. Aur phr taqatwar jinnat o shayateen yeh handi utha ker matloob k ghar may giraty hai jis say phir tabahi he tabahi phailti hai.
5) Mu’eina muddat ka jadu (fix time period magic) kisi b kaam k leye meyaad muqarar ker k jadu kia jata hai ager jadu ki meyaad ko chund maheeny ya aik saal guzra hou tu pher aamil – kaamil hi is ka tour ker sakta hai aur ager is say b waqt ya meyaad tajawuz (guzar) jaye tu pher wali I kaamil he elaj ker sakta hai
6) Pagal ya diwana banany ka jadu: jadu ki madad say aik sehat’mund aur tandrust insane ko pagal ya diwana b banaya ja sakta ha.

7) Jadu k zareye Shayateen o Jinnat ko pabund kerna: jadu k zareye Jinnat ko kisi per b musalut kia ja sakta hai aur pher takleef di jati hai aur us insane ki zindagi ajeerun pershan kun hou jati ha
8.) Khawateen k jumla amraaz: jadu k zareye khawateen k mahana nizam k andar bay’tertibi lana, ussy jari ker daina, roak daina, waqt bay’waqt takleef, jalun, sozish , damage ka chakrana, ulti (Qay – vomiting) ka aana, jee ghabrana, khas ker kamar may dard aur aulaad ki bundish jaisy amraaz k leye jadu kia jata ha.
9) Murd k jumla amraaz: yeh jadu mard k jumla amraz jaisy murd ka aurak per qudrat hasil na kerna, mubasha’rut/humbistari ki bundish, naa murd banana shamil hai
10) Susti aur kah’li ka jadu: is jadu k andar kisi b insan ko sust aur kahil bana dia jata ha k us ka kisi b kaam ka andar dil na lagy aur wo koe kaam na ker saky ya is ki tabeat kisi b kaam ko kerny ki na chahye.
11) Bundish ka jadu: is jadu k zareye kisi b kaam ko hony say roka jata hai jaisy Rishtay ki bundish, nikah ki bundish, rukhsati ki bundish, talaq ki bundish, humbister (jama) kerny ki bundish, karubaar ki bundish, aulaad ki bundish, sehat ki bundish k dawae asar na kary, gawah ko gawahi say rokny ki bundish wagaira shamil hai.

12) Nazar bundi ka jadu: jaisy Firoun k jadugaru nay kia tha k rus’sian saamp nazar aati thi. Is terha ja jadu Bundar (Monkey) ki aankhu ki madad say seekha jata ha.
13) Muhabbat ka jadu: is jadu k andar dousry k dil may hud say zeyada Muhabbat paida ki jati hai. Ager aurat k leye kia jaye tu murd (male person) k pani say tawez likh ker aurat ko pilaya jata hai aur isi terha lakry k leye aurat k pani say likh ker pilaya jata hai.
14) Islam say duri ka jadu: is jadu k andar musalman k dil may shakook o shubhaat paida kieye jaty hai keh wo Islam say mutnafar hou ker kufar kary. Taqatwur shaitan is kaam may khud berh churh ker hisa laity hai.
15) Janwaru per jadu kerna: janwaru per b jadu kia jata ha jis say un k andar doodh ki kami, achanak mout waqya hona, mukhtalif amraaz, aur paidaish ki pabundi ki jati ha.
 

Jinnat & jado k asraat

Jinnat ka insanou ko tung kerna (Jinnat k asraat)
Assalam o Alaykum
Ismail (Wazeer Shah e Jinnat) ka Qoul hai k jou jinnat logoun ko tang kerty hai aisy jinnat ki 70 Qoumain hai aur her Qoum may 70 hazar Qabeely hain aur her Qabeely may 70 hazar afraad hai.
Ager asman say aik sui b phainki jaye tou wo zameen per na girny paye gi bul’keh in k saru per ruk jaye gi.
Jinnat ka rohani ilaj aik taira masla hai laikin na’mumkin nae. Qurani wazaif aur tavezaat say behter in ka koe hul nae.
Jinnat k asraat:
1)     Jinnat insan per asar andaz hoty he usy bayhoush ker daity hai aur us ki halat mirgi k mareez ki terha hou jati hai.
2)     Jinnat o Shayateen kan’wari (bachelor) lerkiou per zeyada musalut hoty hai aur baaz dafa tou un say taluqaat b ker laity hai yahan tak k aisi lerki ba’qaida mehsoos kerti hai aur baad may aulaad b hoti hai.
3)     Chund khabees Jinnat o Shayateen ka kaam he nae nawaili dulhan per asar andaaz hou ker takleef daina ha.
4)     Jinnat o Shayateen insan ko agwa ker laity hai aur ba’qaida apny haan lay ja ker qaid ker daity hai.
5)     Pani k rehny waly Ifreet aurtoun k tamam amraaz ka sabub bunty hai aur yeh khas tour per is terha k kaam kerty hain.
6)     Jinnat k zour per insan ko gaza, khany peeny say sakht nafrat hou jati ha aur wo kae kae maheeny tak kuch nae khaa pata. Is ki misalain (examples) kae kae milti hain.
7)     Jinnat o Shayateen k zareye ghar may pathar, gundgi aur fuzla phainka jata ha.
8)     Jinnat o Shayateen k zareye jadu ki cheezain zair-e-zameen dafan kerwae jati hai
9)     Jinnat o Shayateen k zareye aag lagana. Ghar may rakhy huwy kaprou may aag lug jati ha yahan tak k baaz dafa geelay kaproun may aag lagny k waqiyaat b samny aye hain.
10)Jinnat k zareye dil may mukhtalif khyal aur wus’wasay paida kiye jaty hai jaisy muhabat, dushmani, bugz, adawat, kisi kaam say mana rakhna aur shadeed gusa shamil hain.